Title: "Bhatakti Sadak: Ek Bhayanak Kahani"
"Anshu ki car uss sadak par bahut tezi
se jaa rahi thi ki achanak usse laga ki uske car kai samne koi aagaya hai. Usne foran car roki aur gaadi se neeche utar gaya aur yahi uski sabse badi bhool thi. Car se utarte hi usne dekha ki usne kisi ladki ko takkar maar di hai aur voh zameen par giri dard se ro rahi hai. Anshu foran uske paas gaya aur bola, 'Mujhse galti ho gayi, mujhe maaf kar dijiye.'"
Ladki ne bahut hi meethi aavaaj mai jawab diya, "Koi baat nahi, galti toh sabse hoti hai." Anshu bola, "Aap itni raat ko is sunsan sadak par kahaan ja rahi hain?" Ladki ne bola, "Meri mummy hospital mein bimar hai aur main unki dawai lai kar wapas hospital ja rahi thi ki aapki car ne mujhe takkar maar di." Anshu bola, "Mujhe maaf kar dijiye, main aaj thoda jaldi mein tha. Agli baar se main dhyan rakhunga. Aaiye, main aapko hospital chhod deta hoon."
You may also like: http://business.ellydirectory.com
Anshu ne uss ladki se poocha ki aapka naam kya hai aur aapko kaunsa hospital jaana hai. Ladki ne bola, "Mera naam Surbhi hai, mujhe City Hospital jaana hai." Dono mein baat cheet shuru hui, phir thodi der baad woh dono hospital pahunch gaye.
Ladki ne kaha, "Mujhe bas yahi utaar dijiye, main chali jaaungi." Anshu bola, "Aapke pair mein chot lagi hai, main aapko andar tak chhod deta hoon." Ladki ne kaha, "Main chal sakti hoon, isliye main khud chali jaaungi." Toh Anshu ne kaha, "Theek hai, main aapki baat maan leta hoon, lekin kam se kam aap kuch rupaye rakh lijiye taaki mujhe lage ki main aapki kuch madad kar paya." Pehle tho Ladki ne mana kiya, lekin Anshu ke baar baar bolne se woh maan gayi aur hospital ke andar chali gayi, aur Anshu apni car se wapas ghar aa gaya.
"Pura do din beet chuka tha aur Anshu apne kaamo mein vyast ho chuka tha. Lekin phir ek din jab woh apni car ki taraf dekhta hai, tabhi use woh hospital wali ladki yaad aati hai. Woh sochta hai ki kya woh ladki abhi vahaan ho sakti hai ya phir apni maa ke saath ghar chali gayi hogi."
Yeh sab sochne ke baad voh phir usi hospital mein jaata hain aur wahan ki receptionist se Surbhi aur uski mummy ke baare mein poochta hain aur yeh bhi batata hai ki do din pehle Surbhi ka pair mein chot lagi thi aur woh isi hospital mein aayi thi.
Anshu ki baat sunte he receptionist bolti hai ki yahan toh do din pehle aisi koi ladki aayi hee nahi thi jiske pairo mein chot lagi ho .Ya Sunte hee Anshu chauk jaata hai aur receptionist se kehta hai, "Aap ek baar phir se apni computer mein check ki jiye aur yahan ke staff se puchhiye us ladki ke baare mein." Anshu ki baat sunte hee receptionist phir se bolti hai, "Sir, mujhe achhe se pata hai ki yahaan saath din se koi female patient admit hi nahi hui hai."
Ya sunte hee Anshu buri tarah se ghabra jaata hai aur uska sharir paseene se lathpath ho jaata hai. Anshu us ladki ko puraa hospital mein khojta hai lekin us ladki ka kuch pata nahi chalta kuch der baad voh hospital se bahar nikalta hai aur apni car se wo usi road pe usi jagah wapas jaata hai jahan pe wo ladki use pehle baar mili thi. Uss road pe bahut der rukne ke baad bhi vo ladki ka kuch pata nahi chalta hai.
Anshu uss ladki ke baare mein aas paas ke gaon mein bhi poochta hai, lekin ab bhi us ladki ka kuch pata nahi chalta. Thak haar kar jab Anshu apni gaadi ke paas waapas aata hai, tabhi use wahaan ek baba dikhte hai, unke haath mein ek kitaab hoti hai aur wo satrangi rang ke kapde pehne hote hai.
Anshu sochta hai ki kyun na ek aakhri baar is baba se pooch liya jaye us ladki ke baare mein. Anshu uss baba ke paas jaata hai aur bolta hai, "Baba, mujhe aapse kuch poochna hai." Anshu ki awaaz sunte hi baba bolte hai, "Betaa, mujhe pata hai ki tum kya poochna chahte ho. aao, iss ped ke neeche baitho, main tumhe sab bataoonga." Ya Sunte hi Anshu chauk jaata hai aur baba ki baat maan kar uss ped ke neeche baith jaata hai.
Baba Anshu ko uss ladki ke baare mein saara sach bataate hai. Baba bolte hai ki betaa, tum jis ladki ko dhoondh rahe ho, wo tumhe kabhi nahi milegi kyunki wo ladki ab is duniya mein hi nahi hai, wo toh baarah saal pehle hi mar chuki hai.
Tumne jis ladki ko dekha, wo uski atma thi jo bahut kam logon ko dikhayi deti hai. Tumse pehle uss ladki ko bahut logon ne dekha hai.
Yeh baat hai baarah saal pehle ki jab ek Surbhi naam ki ladki, apni maa ke liye dusre sheher se dawaai le kar wapas apne gaon ke hospital me ja rahi thi, tabhi ek tez raftaar se ane wali car se uska accident ho gaya aur woh usi sadak par maari gayi. Waqt par dawaai na milne ka kaaran uski maa bhi chal basi.
"Log kehte hain ki Surbhi ki aatma aaj bhi usi raaste par bhatak rahi hai aur har tez raftar wali car ke saamne aa jaati hai. Tumhari kismat achhi thi ki sahi waqt par tumne usse maafi maang li, nahi toh voh uss din tumhe bhi maar deti. Anshu poochta hai ki kya voh us din mujhe maarne wali thi. Phir baba use batate hai ki haan, woh tumhe maarne wali thi jaise usne ab tak chhah logo ko maara hai. Tum isliye बच गय kyunki tumhara vyavahaar Surbhi ko achha laga hogaa.
Is ghatna ke baad Anshu ne decide kiya ki woh ab kabhi bhi gaadi tezi se, nahi chalayegaa.
"Aur Isi ke saath ya kahani khatam hoti hai.
Toh doston, aapko kya lagta hai Anshu ke saath jo ghatna ghati, voh sab sach tha ya phir yeh sab uske dimag ka khel tha? Apni raay हमे comment box mein bataiye.
"Dhanyawaad dosto, phir milenge Tab tak apna khayal rakhiye aur Agar aapko ye kahani pasand aayi,toh hamare YouTube channel ko subscribe karein aur video ko like karein Hum jald hi lautenge "ek nayi kahani ke saath.
You may also like: http://business.dirnets.com